“ Yeh Hungame Tere Daman Me Aaye Khaak-E-Watan Kab Tak “
Mitega Fitrat Insaan Se Yeh Deewanapan Kabtak
Rahega Apna Yeh Bharat Silaiboun Ka Watan Kabtak
Yeh Socha Hai Kabhi Qilwat Me Arbaab-E-Hukumat Ne
Rahegi Khoonchkaan Aaqir Yeh Tareeq-E-Watan Kabtak
Watan Se Kab Mitengi Zulmatein Firqa Parasti Ki
Ujaloun Me Rahega Zulmatoun Ka Pairhann Kabtak
Mazalim Dhaane Wale Zalimoun Se Puchna Yeh Hai
Rahenge Yeh Bahane Me Magan Kab Tak
Jala Daale Naa Gulshan-E-Hind Aag Yeh Firqa Parasti Ki
Rahega Bahami Nafrat Ka Yeh Chalan Kabtak
Sawali Hoon Mein Tujhse Ye Bata Aaye Gardish-E-Douraan
Rahegi Teri Peshani Pe Nafrat Ki Ye Shikan Kabtak
Humare Khoon Naahaq Ka Bahaa Hai Har Taraf Darya
Sukoon Se Mustaqil Mehroom Hain……
Yaa Rabb ...........Tere Bande
Khudaya Fazal Farma…..
Tu Supurd Imtehaan Matt Kar
Ganwa Di Jaan Bhi Apni Watan Ke Waaste Humne
Yeh Humgama Tere Daman Me Aaye Qaak-E-Watan Kabtak
Thanks & Best Regards